Thursday, October 20, 2011

Gham-e-Zindagi Teri Raah Mein

(Found it somewhere)

Teri rehmaton ke diyar mein
Tere baadalon ka pata nahin

Abhi aag sard hui nahin
Abhi alao koi bujha nahin

Meri bazm-e-dil toh ujar chuki
Mera khush jahan toh simat chuka

Sabhi jaa chuke mere ham nasheen
Magar ik shaks gaya nahin

Gham-E-Zindagi Teri Raah Men
Shab-E-Arzu Teri Chah Men

Jo Ujar Gaya Wo Basa Nahi
Jo Bichar Gaya Wo Mila Nahi

Jo Dil-O-Nazar Ka Saroor Tha
Mere Pas Reh Kar Bhi Dour Tha

Woh Ik Gulaab Umeed Ka
Meri Shakh-E-Jaa'n Pe Khila Nahi

Mera Hum Safar Jo Ajeeb Hai
To Ajeeb Tar Hoon Main Bhi

Mujhe Manzilon Ki Khabar Nahi
Usy Raaston Ka Pata Nahi

Bus Ik Kaarwaa'n Sar-E-Raah Guzar Hai
Main Haara Hoon To Is Liye

K Qadam To Sab Se Mila Liya
Mera Dil Kisi Se Mila Nahi

No comments:

Post a Comment